Tahajjud Namaz Ka Tarika In Urdu With Complete Guide | gullji.com – GULL JI

Tahajjud Namaz Ka Tarika In Urdu With Complete Guide | gullji.com

Tahajjud Namaz Ka Tarika In Urdu With Complete Guide

Tahajjud ki namaz aik nafli abadat hain. Ye namaz Allah Talah ki Pasandeeda abadaton ma alla darja rakhti hain. Rat ki Mutlak namaz ko tahajjud ki namaz kaha jata hain, matlab k isy rat k kisi hisay ma fajar sy pehly tak parskty hain.

Tahajjud Namaz ke quran or hadees main bohat fazilat bayan ki gai hain. Farz namazon k bad nafli namazon main sub say Afzal namaz Tahajjud ki hain, kuin k insan rat ki nend chor ker bister say alag ho kar Allah Talah ko zyada tarjeeh deta hain.

Tahajjud Namaz Ka Waqat:

Tahajjud ki namaz ka wakat Isha ki namaz k bad say subha fajar tak hota hain. Rat ko sony k bad or fajar say pehly kisi b wakat ager ankh khul jay to ap tahajjud ki namaz parh skty hain. Is namaz k liye rat ko so kar uthna lazmi nahi hain. Tahajjud ki namaz Isha ki nmaz k bd parh lain, adhi rat ya rat k akhri pahar b parh skty hain.

Tahajjud Namaz Ka Rakaat:

Tahajjut ki namaz ak nafli namaz hain or is ki tadaad fix nahi hain. Jitni insan ki istataat ho parh lain, Agarcha 2 rakat ada krna masnoon hai. Is say zyada b parh skty hain, ap km say kam 2 or zyada sy zyada 8 ya 12 rakaat tk ada kr skty.
Tahajud ki namaz 2, 2 rakaat kr k ada kerni chahiye matlb aik time main aik niyat k sath 2 rakaat parhni chahiye.

Kya Tahajjud Ke Liye Sona Zarori hain?
Tahajjud ki namaz parhny k liye rat ko sona zarori nahi hain. Jo log rat ko jagty hain wo sony sy pehly ya fajar sy phly kisi b wakat tahjjud ki namaz parh sakty hain.

Tahajjud ki namaz ke liye sub say pehly wazoo kerna zarori hain.
Usk bad namaz tahajjud k liye neyat kerni chahiye. Ap 2 rakat nafal namaz dill main irada kr lain or namaz shuru krain.
Tahajjud ki nmaz 2, 2 rakat kar k, bilkul dosri nafal namazon ki tarah parhi jati hain.
Tahajjud ki namaz ma parhny wali surtain koi khas ni hoti, is ma ap koi b suratin parh skty hain. Albata behter ye hain k ap lambi lambi surtain parhain. Agr lambi surtain nahi ati to ap choti surtain zayada tadaad main parh sakty hain.

Tahajjud

Tahajjud wo Namaz hai jis ke bare mei Nabi ﷺ ne farmaya ke “Is Namaz ki mehez Niyat kr leny ka he itna Ajar hai ke agr koi Tahajjud ki Namaz parhne ki Niyat kr ke bistar py leta aur so gaya ke kuch dair baad uth kr parhy ga lekin uski nend na toot saki to uske liye sirf is Niyat kr leny ka Sawab ada ki hui Namaz jitna hoga.” [Sunan e Nisai: 1788] Jis Namaz ki bas Niyat kr leny ka itna bara Ajar hai tou phr socho tumhare Sajde kya kuch kr sakty hain.

Tahajjud ki namaz k lie aik neend zruri h mn n suna h keh 20 30 min hi soen lkn neend zruri h esa h kiaa??? Lkn mn n aik jagah prha tha keh Sona zruri nh qk Allah to humari niyat janta h…

Koi Mughai tuhujud ki namaz purhanai ka tareeqa buta dai. Meira masla yai hai kai agur meri neeind 7 sai 8 ghuntai poori na hou to aglai din awazari houti hai phir din mai ankh lug jaati hai to raat ko neeind dair sai aati hai. Mughai rat ko juldi souna aour subha juldi outhna puesand hai laikin rat ko 11 bujai tuk jagna zaroori hai kai ghar mai kaam kurna houta hai. 12 bujai soun to 7 to 7.30 ankh khoulti hai. Yai meri routine hai isi liai fajur ki namaz bhi reh jaati hai. Koi mughai is maslai ka hul butai. Mughai koi aisa tareeiqa butain jo kisi nai apnai oper azmaya hou aour phir fajar aour tuhujud regular hou jai aour neeind mai kumi na hou taakai tabiat awazar na hou aour saara din jaag kur din kai kam bhi kur sukoun?

// Tum Tahajjud mei Dua krte ho aur uske baad bhi is Dar mei rehte ho ki pata nhi Dua qabool hogi bhi ya nhi.. Tahajjud padhe walon ke moujze he alag hote hai.. aise moujze jo na kahi dekhe na kahi sune.. Aise moujze jo insaani soch ke bahar hote hai.. Tahajjud ki Namaz koi mamuli Namaz nhi hai tou zara socho Tahajjud ki Dua ka kya darja hoga…❤

Ramadan Aur Tahajjud

1.RAMADAN main apny waqt ki taqseem krain apko kis waqt py kia krna ha.
2.tahajud k liye bedaar hon to ALLAH ka zikar krty hon phr surah AL-IMRAN ki akhri 10 ayat ki talawat krain , fajr ki namaz k bad zikar krty rhain tilawat krty rhain hata k ishraq ada kr lain.
3.tasbeehat krain, subah sham k azkar, istaghfar krain.
4.dora e quran krain.
5.quran ki talawat ziada sy ziada krain tarjuma k sath samajh k.
6.khoob khoob duayen krain.
7.nawafil ki adaigi krain.
8.Quran ka kuch hisa hifz krain.
9.islamic lectures sunain.
10.sadka , zakat dain.
11.ALLAH K 100 namon ko yad krain unki tasbeeh krain.
12.iftari krwayen.
13.talawat sunain
14.Namazon ki adaigi awal waq py krain.sunnat muakda pury din main 12 sunat ka ehtamam krain
15.taraweeh parhain
16.durood pak kasrat sy parhain
17.surah mulk hifz krain
In sha ALLAH

// Tahajjud ki taufeeq milna hi qubooliyat ki nishani hai Tahajjud ka sajda har kisi k naseeb mei nhi likha jata is ladli Namaz k liye sirf Allah k laadle bando ko hi chuna jata hai agar aisa kuch hai jo aap bht shiddat se chahte ho toh Tahajjud adaa kro

agar wo apke liye behtar hogi toh aapko nawaz diya jayega aur agar behtar nhi bhi hui toh bhi Allah Pak apki dua aur tadap dekh kr usko behtareen kr ke aapko nawaz denge

wo AL-QADIR hai har shay pe qudrat rakhne wale jo le liya gaya hai usi ko behtareen kr ke bhi nawaz sakte hai na-mumkin apke liye hai Allah Pak k liye nhi…❤

Leave a Comment