– Tahajjud – تہجّد
Tahajjud ki Namaz Ek nafli Ibadat Hai…. Yeh Ham per farz Nahin Ki Gai bus jisko taufik milti Hai wohi tahajjud ki Namaz padh sakta hai…. Jis Insan Ki koi aise dua ho jo Qubool na horahi ho… To usay chahiye k is namaz ki pabandi karke Allah se Khoob ro ro k dua kare … Insha ALLAH Zaroor Qubool hogi wo Dua …
– Mojzon ki Namaz
Tahazzud ka waqt hai hi Un kamon ke liye Jo namumkin Ho Jo kam Hamari jindagi Mein hamen lagta hai ki Hamare liye namumkin Hai magar vah Allah Ke Liye Mumkin Hai kyunki Allah har chij per kadir Hai vah har chij kar sakta hai….. Vah har chij per kudrat rakhta hai uske liye kuchh Bhi namumkin Nahin….
Tu Jo Koi Bhi Insan chahe or Tahajjud ki namaz padhta hai aur jo bhi Dua mangta Hai To itna soche ki usse yah taufik Allah ne di Hai yani uski duaon per qubooliyat Ki muhar
Tahajjud Allah Tala ki ladli Ibadat hai
Aur jo yah namaj padhta Hai woh Banda bhi Allah Tala ka behad ladla Hota Hai….
– Tahajjud Ki Tafeeq Kaise Milti Hai???)
Jo Banda Panch Wakt ki namaz pabandi ke Sath adaa karta hy …. Aur khuloos e dil se padhta hai … Aur Ek taraf Dil Mein yah khwahish bhi rakhta hai ki mujhe tahajjud padhne ki taufik Mile To tab Hi Allah usse tahajjud ki taufik ata karta hai… Kyunki jis chij ki Ham khwahish hi nahin karenge to tab tak woh chiz hamen Nahin milegi….
To isi tarike Se Jab tak Ham tahajjud ki namaj Ki khwahish Nahin karenge Ham usse Ada karne ki pabandi ke sath koshish Nahin karenge tab tak Allah Tala hamen iski taufik se mahroom rakhega….
Tahajjud ki Namaz Ki kitni Rakaten Hoti Hain???
Chunke Tahajjud ek nafli Ibadat Hai to iske liye koi makhsoos tadad mukarrar nahi .. bus agar ap padhna chahen to kam se Kam 2 nafil padhlen or ziada de ziada 12…
– Tahajjud Ke Liye Sona Zaroori Hai???
Bohot Se log aise Hain Jo kahate Hain ki tahajjud ki Namaz ke liye Sona jaruri hai to aaj main yah Bhi bataungi ki tahajjud ki Namaz ke liye Sona zaruri hai ya nahin…
Tahajjud ki Namaz ke liye Sona zaruri Nahin Hai… Agar ham log so kar uth kar Pade to phir zyada afzal Hai… kyunki usmein yeh chiz a jaati Hai Ke Ham apni nind ko kurban Karke Allah Tala ki Namaz padhte Hain uski Ibadat Karte hai….
Agar Ham Isha ki namaz ke bad do nafil bhi aise padh Len… Tahajjud ki Niyat se, to Hamari tahajjud ki namaj Ho Gai… Han agar Ham Raat Ke Tihai Hisse Mein uthkar yah namaz padhte Hain To ye afzal hai…
– Tahajjud ka wakt kab shru hota hai???
Waise to Isha ki namaj ke bad Se lekar fajar Ki Azan hone Tak ka jo bhi waqt Hota Hai vah tahajjud ka hota hai… Magar jo afjal waqt Hota Hai vah Raat Ka teesra hissa Jab Allah Tala pahle aasman per aata Hai aur apne bandon se kahta Hai Hai Koi mujhse bakhshish talab karne wala ki main usay bakhsh Doon… hai koi apni Dua Qubool karwane wala jisko mai uski dua ki Quboolyat ataa karoon….
Tahajjud Mojzon ki namaz hai… Tahajjud duaon ki Quboolyat ki namaz hai, Tahajjud gham mitati hai, Dukhi Dil wale isi namaz me sukoon paate hain… Yehi wo namaz hai jisme Allah ka kurb hasil hota hai…. Bilkul ye Allah ki ladli ibadat hai….
Tahajjud Sukoon bakhshi Hai Tahajjud hamen Allah Ke bahut kareeb kar leti Hai tahajjud har vah Baat Allah se manva leti Hai Jo Ham Apne dil mein chahte Hain ki puri ho jaaye….
Tahajjud ki Namaz Woh Namaz Hai jismein har Banda Apne Naam Mumkin khwahish ko Mumkin Mein Badal sakta hai…. Tahajjud ki Namaz beshak UN Logon Ko sukun deti Hai…. Jo bimar hai vah shifa paate Hain… Jo bhi aulad Hai vah aulad ki nemat se malamaal hote Hain… Jinhen rizk ki tangi Hai Allah Tala unhere is Namaz ki barkat se ata karta hai…
Gharz ke jo bhi Dua Ho Jo Bhi khwahish Ho Jo ki hamen lagta hai vah namumkin Hai vah Kabul Nahin ho sakti vah Namukammal se chiz hai…. To Tahajjud wo har dua puri karwa sakti hai….
Kyunki tahajjud ka waqt maujjun Ka waqt Hota Hai tahazzud ka waqt vah waqt Hota Hai Jab Allah Tala ko apni use bande per bahut pyar aata hai jo tahajjud Ada Karta Hai vah Banda Allah ka bahut jyada pyara hota hai to vah Banda jo bhi Dua Karta Hai Allah Tala uski Dua ko fauran se Kabul Kar leta hai yahi vah waqt Hota Hai jismein Allah Tala kun farma deta hai
Aur ho sakta hai Allah Tala yahi Chahta Ho ki mera Banda Jab mujhse Dua karega to main uski Dua per tabhi kun kahunga….
Inshort ye k Tahajjud ki namaz ki bohot si fazilat hy pr yahan jo jo bayan ki gai hy wo b boht kam hain…..
Likhne ko to bohot kuch hai…. Mukhtasir ye… K Tahajjud ki namaz un sab kamon k liye hai… Un sab khuwahishon ke liye hai jo haqe behter nahi hote…. Tahajjud ki duaon mein Ham Un Sab chizon Ko UN Sab insanon Ko Apne hak Mein behtar banaa Lete Hain…
To agar aap bhi panch waqt ki namaj ke sath tahajjud ki pabandi bhi karna chahte hain to aap Logon ke liye yah jaruri hai ki aap panch waqt ki namaje khulu Se Dil Ke Sath bade aur Un Namazon mein aap yah Dua bhi mange latala Se Ki Allah Tala aapko tahajjud gujar bhi banaen aur aap Dil Mein is chij ke khwahish bhi rakhen to tab Hi jakar Allah Tala aapko tahajjud ki bhi taufik ata karega…. In Sha Allah
Ap Dua mangte jao wo kabool karega or zaroor Qubool karega… Ye namaz hai hi itni barkat wali k har baat Allah se ek ladle bache ki tarha manwa leti hy……
To agar aapki Bhi Koi Aisi dua hai jo aap chahte Hain ki puri Ho jaaye to aap tahazzud ki namaj ki pabandi Karen yah kab Ada karni hai kaise Ada karni hai vah sab main aapko Bata chuki hun Allah Tala Ham Sab Ko yah namaj padhne ki taufik ata farmae Ameen…..
– Click Here –
Please Like Our Facebook Page